Tuesday, March 22, 2011

meri Zindagi aur haqiqat

Ye zindagi hawa ke chand jhokon se,
kitabi panno ki tarah palti ja rahi ha!
dhundhlate hue harfon ko ab padhne me,
mujhe dikkat si aa rahi hai!

Shayad har panne me sirf tera hi chehra nazar aata hai,
un pannoN me zikr hai kya,
ye hawa mujhse woh haqiqat chhupa rahi hai!

kisi bhi raaste par mai jaun,
peechhe se ik khamoshi mujhe awaaz de bula rahi hai!
har mod, har raasta, har gali koocha gandagi se bhara lagta hai ab,
jahan mai apne mann ko chhor aau, aisi koi jagah mujhe na mil pa rahi hai!

kisse kahuN, kya kahuN, ab ye baat andar na rakhi ja rahi hai,
Bol doon tujhse ya ke khamosh rahuN, ab ye uljhan mujhe sata rahi hai!

Ajnabee_mai

Kal raat ik khwaab se jab meri neend tooti,
adhkhuli aankhon me kuchh mayusi si nazar aa rahi thi!

aaine me khud ko dekha,
to ik ajnabee shakl mujhe dekh muskura rahi thi,
Ghaur se dekha to woh shakl,
mujhse kuchh jaane-pahchaane se sawalaat kiye ja rahi thi!

maine koshish ki aaine ke aur bhi qareeb jaane ki,
par woh shakl mujhse aur bhi door chali ja rahi thi!

Saturday, March 19, 2011

kya chahta hoon.....mai kyon chahta hoon !!

......................................

Kya chahta hoon, mai kyon chahta hoon;
is duniya me kab mai panaah chahta hoon!
tu khamosh kyon hai, bata mujhko ye ab;
teri khamoshi ki ik wajah chahta hoon!

Kyon mayusi hai dkhti, kyon sannata chhaya;
tere lafzon ki ik hawa chahta hoon!
mai aisa hi tha, ya beemaar hoon ab;
tere haathoN se kuchh dawa chahta hoon!

Mai zinda hoon ya bas baitha hoon yuNhi;
tere palkoN ki ik chhuan chahta hoon!
tu bolegi mujhse, mai sunta rahunga!
tere chehre ki bas jhalak chahta hoon!

Mai baitha hoon chupa sa, hoon bilkul ruka sa;
ye kya hai aur kyon hai, ye jaan-na bhi ab mai kahan chahta hoon!
tu mujhse hai khoyi, ya mai tujhme khoya;
mai paana bhi ab kuchh kahan chahta hoon!

Hai raahoN me ab gaddhe-patthar hi dikhte;
mai thokar ka ab na maza chahta hoon!
mai zinda hoon shayad, par saanse hain atki;
hai ghalti ye meri, to saza chahta hoon!

Hain palke ye bojhal, ya hoon neend me ab;
mai jagna bhi ab kab-kahan chahta hoon!
jo ghalti ki maine, hui bhool mujhse;
un baatoN ki ab mai kaza chahta hoon!

Qadam bhi thake se, safar bhi hai tanha;
mai chalne ko ab kahan hamsafar chahta hoon!