Thursday, January 7, 2010

SURYAAST




Ujala, andhere me badal raha tha,
Suryast ho raha tha.
Koi na rokne waala tha,
koi na tokne waala tha.
Surya ki chanchal kirno par andhera chhaa gaya,
bas dekhte hi rah gaye sab, bankar adrishya dhal gaya.
Jeevan ke anubhav ko katu-pyaala kahte kahte jal gaya,
woh veer so gaya, woh veer so gaya.
vyaakul nayano se jeevan roopi registan me bhatakta rah gaya,
syayam bheeshar taap se nasht ho kar veerta ka pramaan de gaya.
woh veer so gaya , woh veer so gaya.

No comments:

Post a Comment