
hii frnds
these are some lines on the incidents happened in our farewell party.
Enjoy it
khoob hui job parties ab thi farewell ki baari
kuchh dino me BHU ko alvida kahne ki thi taiyyari
duals ne organize kara di farewell party hamaari
book kiya hotel diamond pahunch gaye pahne suit safari
NAV-RATN hall me music ke saath khoob gulatiyaan maari
camere the paanch so picture clicking thi jaari
sab to aaye the par na aayi sabki pyaari
jiske ishq me koi ban baitha umr bhar ke liye brahmchaari
senti itna hua ki chhod di dosti yaari
wah re ishq ki ajab bimaari
pata chala doosre hall me girls ki bhi party hai jaari
jhaank kar dekha to dikhi ek bhaari bharkam naari
jisne lapet rakhi thi apne chaaron or saree
par ek to dikhi bahut hi pyaari
jiski lal saree par thi kaale rang ki dhaari
jise dekh mr. gautam par chhaai masti ki khumaari
lee kuchh tips mujhse udhaari
pahunch gaye karne aankh maari
leni thi inhe apni jaan ki jaankaari
ja kar poochha kyon nahi aayi woh farewell me tumhari
response mila bada hi bhaari
maine socha kat le beta LARI
isi me hai teri izzat saari
party khatm hone ko aayi par sentiaap nahi hua jaari
shayad glycerine ki kami hone se na lag saki aansuon ki phulwaari
par sasa ne mujhe pakda aur sentiaaps ki laat de maari
achanak pata chala ki host ki aankhon me laga kisi ka haath parahaari
shukr hai bach gayi aankh nahi hui bhagwaan ko pyaari
warna ye farewell padti bahut hi bhaari
chalo ab luggage pack karne ki karo taiyyari
kyonki ped ban chuki hai ham sab paudhon ki kyaari
kaho alvida IT_BHU
har saal ki tarah is baar jaane ki hai hamaari baari
alvida doston aayegi yaad tumhari

