
CERA 4TH year, 06 batch, IT_BHU
Friends, we all are going to enter in our professional lives and will see the other aspect of it. We will have to adopt a new work culture and I think that will be totally different from our "COOL-CERA" student life. only 4-5 months have left to say Good Bye "IT-BHU", and obviously the same farewell word to one another. The moments ,we have passed together, will surely knock at the door of ur mind whenever u will get lonely. Before proceeding , I wanna tell you I am an all time dreamer ,dreaming useless things and when I have come to this point I wanna show u these 4 lines which I had read somewhere and getting right now...
सपने??????
नींद में आने वाले अनजाने ख़याल
या मेरे अंतर्मन के छुपे हुए सवाल
आंखों के परदे पर चलती तसवीरें
या खालीपन के कैनवास पर धुंधली उम्मीद की लकीरें ??????
Well, now I am coming to the point. you would be thinking why am I talking about dreams. I am doing so because all of you would have big dreams, but I have a little.
And in my dreams , I see that things and moments which make me feel happy and tell "ALL IZZ WELL" . finally I want to say that these moments will come to us as memories i.e."YAADEIN" but I will catch all these moments and will tie them in a chain which will come to me in my dreams whenever I will feel "LONELY, I M SO LONELY, I HAVE NOBODY FOR MY OWN", in that "COMING SOON" world.
So, here is that chain of words. If anyone gets hurt by this I am extremely sorry. I haven't used any word intentionally to hurt any of you. The used words are fact and everyone will
be, I think, ok with it.
So, enjoy it................
your comments are heartly invited.
Thank you...
yaad aayega hum sab ka woh pahli baar milna
saath saath kuchh palon ka guzarna
yaad ayega naresh ka woh phataphat chahakna
sikar se punjab tak poori geography ka khulna
patti ka woh baat baat me"pele-pele" kahna
yaad aayega papa ka woh na nahana,
kandhon ko uchkana, tond ko hilana
yaad aayega mau ka rakeshG ban jaana
uske birthday me aahar vihar jaana
HG gate par kuchh tragedy ka ho jaana
phir uska ped par chadh jaana
daal tootne par pakda jaana
par "i-card "dikha kar pitai se bach jaana
yaad aayega amitg ka woh tharakna
daaru pee kar qadamon ka bahakna
exams me isolated ho jaana
yaad aayega woh sandy ka bijli girana
aur fachcha dance me cera ka 4th aana
yaad aayega "hawas" ka naam taare pad jaana
woh daaru ki mahak se hi nashe ka chadh jaana
gf ko call kar kuchh bhi bakbakana
yaad aayega sarvesh ka woh lift ka offer dena
par "i will walk" sun kar jhooth ka muskurana
"angoor khatte" hain aisa kuchhh dikhana
yaad aayega woh auddhyogic bhraman par jaana
katni me branch ka 2-3 guton me bat jaana
chhoti si baat par lad-jhagad jaana
aur phir "samjhouta express" chalana
yaad aayega sasa ka woh computer se chipak jaana
aur room me aa kar room ko mahkaana
yaad aayaega mera naam "sutta" pad jaana
chhoti si baat par "mahamana" ban jaana
yaad aayega woh mere roomie ka "guru" ban jaana
uska branch change karana aur "samaaj sudhar grih" se door chale jaana
yaad aayega tp ka woh kahkahe lagaana
har baat par PJ sunana
yaad aayega panda ka woh roomie ke kharraaton se dar jaana
par dheere dheere bachche se adult ban jaana
Israel jaana aur Google se paise kamaana
yaad aayega baba ka woh man hi man gungunana
yaad aayega bd ka woh muskurana
5000 Rs. me andaman pahunchaana
yaad aayega branch me ek bhaiya ka aana
ajeeb se motion me hothon ko hilaana
yaad aayega ama ka woh daant dikhana
nritya ki mudra me hardam photo khichana
yaad aayega kachchhe ka sabko samjhana
90 ki speed se bike ko bhagaana
yaad aayega jhabru ka woh haklaana
par haklaate hue hi bahut kuchh kah jaana
yaad aayega boobey ka woh paise bachaana
aur phir gf se milne mumbai chale jaana
yaad aayega lambu ka woh khujaana
jiski wajah se uska naam khujjar pad jaana
woh tatanagar me poori raat jag jaana
kuchh na kahte hue bhi sab kuchh kah jaana
ek packet se zyaada sutton ka jal jaana
yaad aayega neta ko woh samose khaana
1-2 nahi poori ki poori 5 kachaoudiyaan pacha jaana
peresentation ke liye 50 Rs. jama karana
aur phir McD me burger khilana
"Aange -Aange" chalo abhi bahut kuchh hai batana
yaad aayega polly ke saath mera dostaana
intern par uske saath chennai jaana
uska dance , uska chaawal
aur chhoti si baat par uska rooth jaana
yaad aayega bond ka woh hame hansana
mimicry kar kar ke faaltu ka pakaana
bike se morning walk par jaana
bahut bada naam ho kar bhi bahut chhota no. paana
yaad aayega bapu ke un principles ka bahaana
par akele me sab kuchh kar jaana
yaad aayega woh pahli baar allahabad jaana
E-biz ke chakkar me paise gawaana aur phir pachhtaana
yaad ayega joshi ka woh chillaana
har baat par statistics ki baadh lagaana
marketing strategy hame samjhaana
munh ki badboo ko DEO se mitaana
X-ray ke liye patient ko chhod khud chale jaana
mobile top-up ke liye ek naya tariqa apnaana
yaad aayega mehta ko woh tamraaj ban jaana
current news se update ho jaana
GK kamzor hone par aashcharya se bhar jaana
yaad aayega tiwari ka "toto" kahlaana
cig ke dhuon ke woh chhalle banaana
'bina daaru party nahi ho sakti' , ye samjhaana
yaad aayega mishraG ko woh khilkhilaana
"apne Jeetu" ki kahani hum sabhi ko sunana
abha mam ko woh laal gulaab dena
workshop me proxy ka zimma khud hi lelena
bike se girne par haathon ka dislocate ho jaana
yaad aayega lui ka woh cool rah paana
tt se pyaar karte hue bhi kuchh na kah paana
yaad aayega bhediya jaisa movies ka deewana
hyper hote hue bhi "mummy" ka farz nibhaana
yaad aayega CK ka woh neutral rah jaana
yaad aayega kachchhu bhai ka woh gaana
mishra ji ki bhaiya ki shaadi me stage par gungunana
kachhue ki chaal hone par bhi sutte ko poora choos jaana
yaad aayega motu ka woh daaru pee ke senti ho jaana
yaad aayega uria ka woh apni potential energy ko badhaana
uski scientific baaton me ulajh kar rah jaana
yaad aayega kd bhai ka woh "hey hey" kar jaana
daaru pee kar ek naya hi kd ban jaana
deptt. me din bhar time bitaana
raat me hame chai ke liye bulaana
yaad aayega woh jarde ka hansna muskurana
logon ki naak me dam kar jaana
"maha-maha" karke mera sar kha jaana
yaad aayega woh exams me poori raat jagna
padhai ki jagah lambu ke room me kushti ka chalna
yaad aayega woh kisi ka sabki JAAN le jaana
logon dwaara use sataana
pahle hi din uski cycle ka puncture ho jaana
mand mand muskurana , logon ke hosh udana
aur uska "paidal chalne" ka bahaana
yaad aayega woh saurabh ke saath lanka jaana
wahan ghanto baith bhooton ki baatein karna
aur shayad ye bhi uska koi nick na rakh paana
yaad aayega woh rai-sahab ka cool taraana
'raat me daaru, din me daaru' ka slogan apnana
yaad aayega woh "daaru party" me rai ko lekar
mishraG ka sabse bhid jaana
aur janata dwaara kuchh funny naare lagaana
yaad aayega woh 4 saal baad bichhad jaana
sabka professional life me enter kar jaana
kisi ka kuchh , kisi ka kuchh ban jaana
samaaj ko badalne ki chaah hote hue bhi samaaj me dhal jaana
seedhi raah par chalte hue is duniya ki bheed me kho jaana
yaad aayenge ye saare pal ye saari chhoti chhoti baatein
in yaadon ko ek sapne me pirona chahta hoon
aur banana chahta hoon apne mastishk me ek jagah inke liye
jahan se guzarte hue mai unme kho jaaun
aur jo har raat mujhe us nayi duniya me akele hone ka ahsaas na dilaye.

nice man ,u rock ,great awesome poem
ReplyDeletekucch hi shabdo main sab kucch kaha jana..
thanx bro.....
ReplyDeleteevery line just came frm all of u individually..
there is no1 frm my side
ulti poem....
ReplyDeletepadte padte emotional ho gaya yaar...
kuchh hi sabdo mein sab kuchh kah dena puri branch ke bare mein, ye hunar sab ke pas nhi hota hai..
u r a great person..
aur haan mere baare mein kuchh nhi mil raha tha to 1 hi line likh deta..
hahahahha
thanx yaar...
ReplyDeletemaine just kuchh facts likhe hain
and thanx again for calling me gr8, i don't knw i m or not.
tere baare me 1 line meri feeling hai doosri tere shabdon ka sanchhiptsanchay hai
neta waala sabse mast tha
ReplyDeletesaale apni jagah adhyaeiougic(f**k the spelling) bhraman bhar diya
yaad rahega cera branch ka 'dostaana'
sip sasa mau ke uniqye pyaar ka fasaana
4 saal bina controversy ke kaatna aur
usi ada me sabki g**nd maar jaana
wow awesome man..
ReplyDeleteu should also write something like this and post it on ur blog
i m waiting