ek samay tha jab mai chhota tha
tab raat bekhabar sota tha
sapne hote the shakkar se
gud se bhi meetha rota tha
na khabar thi mujhko duniya ki
na jhooth se hi koi naata tha
aankhen bhi itni sachchi thi
ki achchha har ek dikhta tha
jab khela karta galiyon me
gilli-danda tab seekha tha
lattu tha nachaata haathon me
aur patang ki dor bhi kheencha tha
khela karte jab kho-kho the
sarpat mai bhaaga karta tha
uth-ta tha subah mai tadke se
chidiyon ki chahak me khota tha
mutthi bhar chaawal le ja kar
khaane ko unko deta tha
paana-khona na hota tha
us pal me hi bas jeeta tha
jab mummy daanta karti thi
aankhon ko mal ke rota tha
hote the padosi apno se
ghar apna woh bhi hota tha
aata tha jab tyohar naya
naye kapde dekh chahakta tha
milta tha rupaya ek jahan
khush toffi le kar hota tha
ek samay aya jab bada hua
apne pairon pe khada hua
ab neend ud chuki aankhon se
dikh gaya hai duniya ka toofaa..n
kho gaya hoon mai bhi toofa...n me
na dard raha ab koi bhi
chup dekh raha mai registaa...n
jannat hai nahi ab aankhon me.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment